Umeed ki kashti ko duboya nahi karty... Saahil agr dour ho to roya nahi krty... Rakhty hain jo kisi Dil main tarap kisi ki... Wo log to raaton ko soya nahi krty......
kuch tumhare ankho ki kajal ne kaha kuch tumhare julfo ki badalne kaha jo keh na saki tumhare khamosh honth hawa me lahrati hui tumhari aanchal ne kaha
Benam sa yeh dard thahar kyun nahi jata,Jo dur hai dil se utar kyun nahi jata,Ek chehra jo barso se hai ajnabi,woh khwab hai toh phir bikhar kyun nahi jata.
Mayoos tow hoon mager hona nahi chahti Kia karon mein ussay bhulana nahi chahti Janti hon wo bay khaber hai mujhe se phir bhee Uss k khayal ko dil se mitana nahi chahti
Jab bolte hai to kehte ho ki bohot bolte ho Jab chup rehte ho to kehte ho ki naraz ho? Dil ki baat akhir kaise bataen Batate hain toh kehte ho mazak kar rahe ho?
Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera