Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki, bigde rishte na bane to khudai kis kam ki, beshak apni manzil tk jana h, par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki..
Pehle kabhi ye yadein ye tanhai na thi,Kabhi dil pe madhoshi chaei na thi,Jane kya asar kar gai apki baatein,warna Istarah kabhi yaad kisi ki aatee na thi
Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane, Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane, Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain, Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain
Ishq ek shokh nigaah hai dost, Unpe mit jaane ki ek chaah hai dost, Ishq manzil nahin, koi iraadaa bhi nahin, Jhoot ke jangal se alag, Sach ki ek raah hai dost.