Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Keho Yeh Zindagi Tu Hai Rehmat Issay Saza Na Keho Na Jaanay Ko Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho Who Saath choor Gaya Hai Tu Bewafa Na Keho
Badla jo Waqt, Gehri Dosti Badal Gai Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai
Wo Aaj Phir Mile Aankhein Chaar Hui Dil Se Dil Ki Phir Ek Baar Takraar Hui Kehne Lage Kahan Hain Mohabbat Teri Hamne Kaha Vahin Dafan Hai Jahan Aapki Duniyaa Aabaad Hui…
Zakhm aisa diya koi dawa kaam na aayi,Aag aisi lagai ke paani se bhi na bujh paayi,Hum aaj bhi rote hai unki yaadon me,jinhe hamari yaad aaj tak na aayi.