Kis rah par jana h ye kon janta h, Kis manzil ko pana h ye kon janta h,khushi k 2 pal milte h to ji bhar k jilo, Kab rooth jaye khud se zindagi ye kon janta h.
Hazaro ki ginti to hame nahi aati,par khwab kuch aisa dekhte hai,ke ret ka har zarra agar hira ban jaye to tohfe me aapko registan dene ki khwaish rakhte hai
kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil
ek ajeeb si uljhn har dam rehti hai ,aap pas nahi to aapki yaad rehti hai ,bechain hokar dil mobile ko dekhta hai ,aankho me apke sms aane ki aas rahti hai .
Waqt Ki Anch Per Pathr Bhi Pighl Jate Hain.. Keh kahe Tut Kar Ashkon Mein Badal Jate Hain.. Umar Bhar kon Kisi Ko Yaad Kya Karta Hai.. Waqt Ke Sath Khayalat Bhi Badal Jate Hain
HAR baat ka koi jawab nahi hota, har ISHQ ka naam kharab nahi hota,yu to zhoom lete hai NASHE mein pine wale, magar har NASHE ka naam SHARAB nahi hota.