Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai, Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate Hai, Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi, Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai.
HAR baat ka koi jawab nahi hota, har ISHQ ka naam kharab nahi hota,yu to zhoom lete hai NASHE mein pine wale, magar har NASHE ka naam SHARAB nahi hota.
Milke bichadana dastoor hai zindagi ka, Ek yahi kissa mashur hai zindagi ka, Beete huye pal kabhi laut kar nahi ate, Yahi sabse bada kasoor hai zindagi ka.