Shukra Hai Khuda Ka Aapne Hame Dost To Mana,Vada Kiya Dosti Ka To Padega Nibhana,Ek Bas Aapki Dosti Hamko Nasib Ho,Uske Baad Chahe Hamko Mile Na Zamana
Armano ki sej par dosti ne karwat li hai.Apke dost ne apko ye kasam di hai.Juda ho k bhi juda na hona.Warna log kahenge,Ek dil ne dhadkan Ki jaan li hai.
Zindagi har pal khas nahi hoti, phulo ki khushbu hamesha pas nahi hoti, milna hamari taqdir me likha tha , varna itni pyari dosti kabhi itefaq nahi hoti.
Pehle kabhi ye yadein ye tanhai na thi,Kabhi dil pe madhoshi chaei na thi,Jane kya asar kar gai apki baatein,warna Istarah kabhi yaad kisi ki aatee na thi
Gam ke sagar mein kabhi dub na jana,raho pe chalke manzil na pao to tut na jana,zindgi mein agar dost ki kami mehsos ho to,hum zinda hain ye bhul na jana.