Wo pal b kya pal raha hoga,Jab khuda aap jaisa DOST bana raha hoga,Pareshan hoga khuda b us waqt,Kyunki har koi aapko paane ke liye khuda ko mana raha hoga!
Dilon ko khareedne wale hazaar mil jayenge, tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge. Milega na tumko hum jaisa koi, milne ko to dost beshumar mil jayenge.
Aapki Dosti hamein is kadar pyaari hai, Jis tarah bin paani ke machli bechari hai, Ab na aur kuch khawish hai, Bus tum DOST bane raho ye hi tum se guzarish hai
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon, Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon, Hai meri dosti mein itna dum, Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon
Zindagi bhar saath hum denge, girne lagoge to haath hum denge, dosti ke rishte ko kamjor mat samjhana, isko banaye rakhne ke liye har imthaan hum denge.