Karo karam ya sitam,gila ham nahi karte,pathar pe yakinan phul khila nahi karte,mita do hamko dil se magar khyal rahe,hum jaise DOST dobara mila nahi karte.
Pyaar or dosti me itna fark paya hai,Pyar ne sahara diya,dost ne sath nibhaya hai,Kis rishte ko gehra kahu yaaro,Ek ne di zindgi to dusre ne jina sikhaya hai.
Jab bhi yaad aati hai muskura lete hai kuch palo ke liye har gam bhula dete hai kaise bhig sakti hai palke aap ke aap ke hisse ke aansu to hum baha lete hai..
Koi dikhake roye, koi chippa ke roye,humein rulaane waale humein rulake roye.... Marne ka maza to tab hai yaaron,jab qaatil bhi janaaze pe aakar roye....
Shabnam ki bunbo se moti mang lenge, chand se uski chandni mang lenge, jab aap shath hai to dost us khuda ki kasam khuda se ek or zindagi udhar mang lenge.
din beet jaate hai suhani yaade bankar baate reh jaati hai kahani bankar par dost to humesa dil ke kareeb rahenge kabhi muskan to kabhi aakhon ka paani ban kar
mere khabo ka har ek naksh mita de koi. sukhe patto ka bacha dher jala de koi. meri pechan ka ek shaksh isi shehar me hai mai bhi jinda hu zara use bata de koi.......