laut jati hai jindagi gum hamara dekh kar, jaise laut jati hai lahere kinara dekh kar , mere janaje ko kandha na dena tum , kahi phir jinda na ho jau tera sahara dekh kar.
Aap ki dosti ki tarif juba pr aane lagi,Aapse dosti ki or jindgi muskrane lagi.Ye meri dosti hai ya aapki khubiya, Ki meri har sans se aap k liye dua aane lagi
Aap jaisa Dost Har 1 ka Khwab Hota hai, Jinka 1 Alag Andaz Hota hai, Aasma me Taron ka koi Hisab Nahi, Par Aapke Jaisa Dost Taron me bhi Aftab Hota hai.
Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane, Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane, Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain, Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain
Mout ki gaadi me jis din sona hoga. Na koi takiya hoga na koi bichona hoga. Saath hongi aap jaise DOSTON ki meethi yaaden. Aur shamshan ka ek chota sa kona hoga.
Hoton pe dosti ke fasaane nahi aate, Saahil pe samandar ke khazaane nahi aate. Udne do parindo ko abhi shokh hawa main, Fir laut kar college ke zamane nahi aate.