Taron ko ginane wale ham na they, akele gungunane wale ham na they,yeh to aapki dosti ne aadat si laga di, warna kisi ko itna yaad karne vale ham na they..
Pyaar or dosti me itna fark paya hai,Pyar ne sahara diya,dost ne sath nibhaya hai,Kis rishte ko gehra kahu yaaro,Ek ne di zindgi to dusre ne jina sikhaya hai.
Koi dost aisa banaya jaye, jiske aasuon ko palko mein chupaya jaaye, rahe uska mera rishta kuch aisa, ki agar wo rahe udaas to humse bhi na muskuraya jaye
Guzra hua waqt dubara nahi aayega, marne ke baad kisi Ko pukara nahi jayega, mere dil Ke jis Kone me teri tasveer lagi hai, teri Kasam yaar us taraf Koi dubara nahi jayega.
Aankho ma raha dil ma uter ker nahi dekha.. Kashti ke musafir ney samander nahi dekha.. Pather mujey kehta haa mera chahny wala.. Me mom hoon usne mujey chu kar nahi dekha.........