Jitni dosti payi hai aap se usse zyada pane ko dil chahta hai, jane woh kaun si khubi hai aap me ki apko har janam me apna dost banane ko dil chahta hai.
Chand ki chandni shayad madhyam pad jaye, phulon ki khushbu shayad phiki pad jaye. Par hamari dosti mehekti rahe, shayad zindagi ke lamhe kam pad jaye.
Phool khilte rahein zindgi ki raah mein hassi chamakti rahe aapki nigaah mein kadam kadam par mile khushi ki bhaar aapko dil deta hai yehi dua baar-baar aapko
Dilon ko khareedne wale hazaar mil jayenge, tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge. Milega na tumko hum jaisa koi, milne ko to dost beshumar mil jayenge.
Sari umar aankho me 1 sapna yad rahega, sadiya beet jayegi wo lamha yad rahega. Jane kya bat thi un dosto me, mehfil bhul jayege bas wo dostana yad rahega.
Kabhi Kabhi teri palkon pe jhilmilaaun mein, Tu kare intzaar aur na aau mein, Samunder mein le ja kar fareb na karna e-dost, Tu kahe to kinare pe doob jaau mein