Ansu bina ankhe itni khoobsurat nahi hoti, gum bina khushi ki koi keemat nahi hoti, agar mil jaati har cheez chahne se, to duniya me duaon ki zarurat nahi hoti
Kal na phir ye samaa hoga, hum mein se kaun najaane kahaan hoga..? Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein, par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga....
Yakin pe yakin dilate hain dost Raah chalte ko bewakuf banate hai dost Sharbat bol kar daru pilate hai dost Par kuch bhi kaho saale bahut yaad ate hai dost.
Rahe pardes me to vatan ki yaad Aayi, Khai thoker to Maa- Baap ki yaad Aayi. Dushman mile zindagi me bahut, Lekin dosti ke naam se bas Aapki yaad Aayi.