Pyar k mamle mei hum thode kache hai Magar dosti ke mamle mei hum bahut sache hai, Hamari sachai bas isi baat par qayam hai Ki hamare dost humse bhi ache hai
Waqt k saath haalaat badal jate hai,yaani taqdir k din raat badal jate hai, jab bhi aata hai bura waqt kisi insaan par, to dosto k bhi khayalaat badal jate hai
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon, Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon, Hai meri dosti mein itna dum, Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon
Khuda ki banai kudrat nahi dekhi, Dilon me chupi daulat nahi dekhi. Jo kehte hai ki duriyon se mit jati hai dosti, Unhone shayed hamari dosti nahi dekhi.
Zindagi ke toofano ka saahil hai aapki dosti, dil ke armaano ki manjil hai aapki dosti, zindagi ban jaayegi jannat. agar maut aane tak saath rahe aapki dosti