Daulat hai hume zindagi se pyaari, Daulat ke liye kardo quban yaari, Daulat keliye tood do mohabbat saari,Tum se kya chupana yaar tumhi to ho daulat humari.
Dil paraya ho sakta he,par preet nahi,Dariya gahera ho sakta he,par pani nahi,Hum to humesha apka saat nibhayenge,q ki Pyar ek tarfa ho sakta he,Dosti nahi.
Jab se tum mile ho, tumhari Dosti mili hai Mujhe jine ke liye nayee bekhudi mili hai, Sochti hu ji bhar kar muskaralu, Barso baad to Khushi mili hai...
Tere saath guzra lamha jab bhi yaad aega, is janam ke baad tera hi khayaal aega. Agar bakshi Khuda ne ye zindagi baar baar, to har janam,tujhsa hi Dost paane ko dil chahega
Riste wo nahi jisme roj baat ho! riste wo bhi nahi jisme har roz saath ho! riste wo bhi hai jisme kitni bhi duriyaa ho! lekin hamesha aap ki yaad ho...
Ajab sa ehsaas hai Dosti, Do insano ka saath hai Dosti. Khuda ki khudai hai Dosti, Zindagi ki sachayi hai Dosti. Naseeb wale hain hum jo payi hai Aapki Dosti
Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai, hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain, humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankho se chalakte hain