Guzra hua waqt dubara nahi aayega, marne ke baad kisi Ko pukara nahi jayega, mere dil Ke jis Kone me teri tasveer lagi hai, teri Kasam yaar us taraf Koi dubara nahi jayega.
Aakhon me kyun aansu jhalak jate hai,Tanhaiyo me kyun gham yaad aate hai,Aansu pochkar koi yeh bata de hume,Dur rehne wale dost hi aksar kyun yaad aate hai
din beet jaate hai suhani yaade bankar baate reh jaati hai kahani bankar par dost to humesa dil ke kareeb rahenge kabhi muskan to kabhi aakhon ka paani ban kar
saalon baad na jaane kya sama hoga, hum me se na jaane kaun kaha hoga, phir milna hoga to milenge yaadon me, jaise sukhe gulab milte hai purane kitaabo me