Jo pal pal chale wo hai zindagi jo pal pal jalti rahe wo hai roshani jo har pal khilti rahe wo hai Mohabbat jo kisi bhi pal saath na chhode wo hai dosti
Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane, Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane, Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain, Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain
Zubaan Se Tumhe Keh Nahi Sakte, Isliye Humesha Khuda Se Fariyaad Karte Hai,, Jab Bhi Tumhara Dil Zor Se Dhadke, Samajh Lena Hum Tumhe Dil Se Yaad Karte Hai,,
Waqt k saath haalaat badal jate hai,yaani taqdir k din raat badal jate hai, jab bhi aata hai bura waqt kisi insaan par, to dosto k bhi khayalaat badal jate hai
Hamaare to daaman mein kaanto ke siva kuch nahin. Aap to phoolon ke kharid-daar nazar aate hain. Jahan mein kitne dost mile hume par sabse ache aap nazar aate hain..
Zindagi mein kabhi to mujhko yaad karoge, Mehfil mein nahi to tanhai mein fariyad karoge, Humsa na mila na milega koi aur, Tab apni kismet pe naaz karoge.
Mohabbat ki kadar Mohabbat se kia karte hain Hum pe jo marte hai us k liye jia kerte hain Dosti mein sawal jo ho laine daine ka Hum Kante rakh layte hain aur Phool diya kerte hain
Teri Khushi se na sahi gam se bhi rishta hai mera, yeh jo tere zindagi hai who ek hissa hai mera, e dost tujhse lafzon ka nahi, ruh ka rishta hai mera.