Jitni dosti payi hai aap se usse zyada pane ko dil chahta hai, jane woh kaun si khubi hai aap me ki apko har janam me apna dost banane ko dil chahta hai.
Koi dost aisa banaya jaye, jiske aasuon ko palko mein chupaya jaaye, rahe uska mera rishta kuch aisa, ki agar wo rahe udaas to humse bhi na muskuraya jaye
Kyu dil ke mere tukde kar diye, kyu mere aansu ko apni muskan se baha diye, gunah kya tha mera bus chahna tumhe, kyu meri zindagi me tune dard bhardiye
Tere saath guzra lamha jab bhi yaad aega, is janam ke baad tera hi khayaal aega. Agar bakshi Khuda ne ye zindagi baar baar, to har janam,tujhsa hi Dost paane ko dil chahega