Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota Har musafir jindagi ka sahara nahi hota Milte hai bahot log is tanha jindagi mein Par koi DOST tumsa pyara nahi hota!
Teri pyari umid kaise tod jaun, thu khwab dekhe aur mein nazar na aaon..! Kuch to baat hai dosti me hamari, kya apke kadam nahi kehte ki chalo mil aaun...
Zindagi har pal khas nahi hoti, phulo ki khushbu hamesha pas nahi hoti, milna hamari taqdir me likha tha , varna itni pyari dosti kabhi itefaq nahi hoti.
Pyaar kahete hai.. Mohabbat kahete hai.. Kuch log use bandagi kahete hai.. Magar jinke sath hum Dosti karte hai.. Hum unhe apni zindgi kahete hai.....! Darde Dil sehna asan nahi hota.. Kimti cheez ka har koi kabil nahi hota.. Ye to rab ki meharbani hai warna .. tum jaisa Dost hume hasil nahi hota.....!
Pyar Karnewalon ki kismat kharab hoti hai, Har waqt intezar ki ghadi sath hoti hai, Waqt mile to rishto ki kitab khol ke dekh lena, Dosti har rishtey se lajawab hoti hai
diwanapan kuchesa tha humara unko din raat hasate gaye, mili kuch pal ki khushiya toh hum pagal ho gaye, konsi khata ki thi jalim jo hume raah me chodh ke chale gaye
Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki, bigde rishte na bane to khudai kis kam ki, beshak apni manzil tk jana h, par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki..
O WAJOOD NAHIN WO HASTI KIS KAAM KI,JO MAZA NA DE WO MASTI KIS KAAM KI,JAHAN DIL NA LAGE WO BASTI KIS KAAM KI,AUR HUM AAP KO YAAD NA KAREN,TO DOSTI KIS KAAM KI.
Waqt mile to hamein Yaad kar lena,.Pal pal na sahi, din me ek bar Yaad kar lena,. Dost honge aap k hazar,. Par hamare Liye aap ek hai,. Itna Yaad rakh lena..
kisi ka pyar pane ki tamanna nahi, aap jaisa dost ka dular mile itna kafi hai aap chahe humein milo ya na milo, par humein yaad karte raho bas itna kafi hai