Har raat ko chand ka shingar nahi milta, Har baag ko phool ka dular nahi milta, Maine bhi duniya dekhi hai Dost, Har insaan ko tere jaisa yaar nahi milta.
Tere saath guzra lamha jab bhi yaad aega, is janam ke baad tera hi khayaal aega. Agar bakshi Khuda ne ye zindagi baar baar, to har janam,tujhsa hi Dost paane ko dil chahega
Koi dost aisa banaya jaye, jiske aasuon ko palko mein chupaya jaaye, rahe uska mera rishta kuch aisa, ki agar wo rahe udaas to humse bhi na muskuraya jaye
Dost to ruksat ho jaate hain, par kuch yaadon ke daayre ban jaate hain. Bhool jaana to insaan ki fitrat hai, par kuch acche Dost yaadon mein bas jaate hain...