Aapko dekhu,ab ye irada bhi baki na raha,tujhe sochu,shayad ab ye haq bhi hamara na raha,kabhi to karti apni majbooriyoin ka khulasa hamse,ki lad jaya jahan se tere liye ye bhi tujhko gavara na raha.
Wo hamare na Huae to kya gam hai ham to unhi ke hai ya kya kam hai Ha Na gam kam hai na aasu kam hai Baas ab dekh na yeh hai ki Rulane Wale me kitna Dum hai.. Aadab Arz Hai Miyaa.
Khusbu Se Hawaon Se Bhi Milte Nhi Kuch Log Mossam Ki Adaon Se Bhi Milte Nhi Kuch Log Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Dete Hain Laken Bicherain Tu Duaon Se Bhi Milte Nhi Kuch Log
woh hume bulne ki baat karte hai zara unse pucho who hume kab yaad karte hai Jo karte the kabhi humse bahot mohabbat Aaj akele rehne ki baat karte hai.
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Kehte hain patthar dil aadmi ke, aansoo nahi nikalte; Par teri hi kudrat hai, pattharon se hi jharne phootte hain. Dil patthar ke nahin hote, jamana bana deta hai Sakhta patthar ke peeche ka dard kise pata hota hai?