yeh zarori nahin par asa howa karta hay jis ko chaho wahi dhoka diya karta hay qasmain khata hay woh ehad nibhanay ki or har moor pay rastay badal liya karta hay
Mohhabat har insanko aazmati hai Kisise ruth jati hai to kisipe muskurati hai, mohhabat khel hi aaisa hai, kisika kuch nahi jata aur kisiki jaan chali jati he
Dil unko dundta hai gum ka shringar karke. Aankhe bhi thak gayi ab intzaar karke.. lagta hai naseeb me nahi hai jo chhahate hai hum, to kya fayda kisi se ijhar karke,
Dharti ka gum choopane ke liye gagan hota hai, dil ka gum choppane ke liye badan hota hai, Mer ke bhi choopane honge gum shaayad isliye har laash pe ek kafan hota hai
Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha