Aae dil tu mohabbat karta kyu hai,Jo karta hai to phir tadapta kyu hai,Jo baith gaya hai dil me pyaar ka dard ban kar,Woh aankho ke raaste nikalta kyu hai.
Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswayion ka,Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jata hai,Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jata hai.
Woh Mera Ho Jo Nazer Mein Haya Rakhta Ho Her Qadam Saath Chale Azm-E-Wafa Rakhta Ho Naaz Uske Na Uthaaon Tou Shikayat Na Kare Zakhm Khaa Ker Bhi Hansne Ki Adaa Rakhta Ho
Zindagi, Manjil, Waqt Kisi Ne Humara Saath Nahi Diya, Sab Par Se Puri Tarah Bharosa Uth Gaya. Is Duniya Se Ub Gaya Hai Ab Humara Jiya, Kisi Ko Kitna Hi Chaha Kam Reh Gaya.