Rehne de aasma zameen ki talash kar, sb kuch yahin hai na kahin aur talash kar. Har arzu puri ho to jeene ka kya maza, jeene k liye bus 1 kami ki talash kar.
Ek tuti hui zanjir ki fariyad hai hum,aur dunia ye samajhti hai ki azad hai hum.is ashiqi ne kya diya hai humko,kal bhi barbad the,aaj bhi barbad hai hum
Hansane ke baad kyon rulaati hai yeh duniya, jaane ke baad kyon bhulati hai yeh duniya. Zindagi mein kya kuchh kasar baaki thi jo marne ke baad jalati hai yeh duniya!!
Koi chirag jalata hai dewane k liya, Koi chirag jalata hai parwane k liya, Hum chirag jalate hai "UNKE" liye, Jo hume bhulaye baithe hai kisi begane ke liye.