unke paas humare liye nafrat bhi nahi mohobbat bhi nahi us shaks ko humse koi shikayat bhi nahi shayad hum ji nahi sakte unke bina aur unhe shayad humari zarurat hi nahi
badal ki tarah jhum k lehra k piyenge saaki tere maikhaane me hum ga k piyenge dekhenge k aata hai kidhar se ghum e duniya saaki tujhe hum saamne bithla k piyenge
Hansi ne labhon pe thirakna chodh diya, khwabon mei kisi ne aana chodh diya, nahi aati ab toh hichki bhi humko, lagta hai aapne yaad karna bhi chodh diya.
Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua, na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua, jab log mujhse puchte hain hamari pyar ki dastaan, main keh deta hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua…
sochta tha dard-e-dil pe koi to marham lagata, par siwa kanto ke koi mujhko kuch bhi de na pata, khwab the aankho ke khulte hi kahi wo kho gaye… Ae kash band aankho ke hi jindgi jiya jata……………
ZINDAGI KI HAR KHWAHISH PURI NAHI HOTI SIRF UMEED SE HAR CHIZ HASSIL NAHI HOTI SACH HAI DIL KI LAGI KABHI NAHI BUJHTI PAR GAM SE PEHLE KABHI KHUSHI NAHI MILTI