Nazar, nazar se milane me dar lagta hai, Mere Mehboob ke inkaar se dar lagta hai, wo khele mere dil se kuch is tarah, ki ab to husan -e -aaftaab se bhi dar lagta hia..
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Tanha ho kabhi to mujhe dhoond lena, is duniya se nahi apne dil se pooch lena.. apke aspas he kahi rehte hai hum, yadon se nahi to sath guzre lamho se pooch lena.
nazron se agar door hai to kia hua dharkan ki tarha dil k meray paas bohat hai wo raat ki tareeki main karta hai mujh se baat us ko meri tanhaai ka ehsaas bohat hai
Ummidon ke sahare jiye jaa rahe hain, tera naam lab pe liye jaa rahe hain. Ek tum ho ki milne ka naam nahin lete, ek hum hain ki intezaar kiye jaa rahe hain