Nakam si koshish kiya karte hai, Hum hai ki unse ulfat karte hai. Kudrat ne takdir me 1 tuta tara nahi likha, Aur 1 hum hai k chand ki aas lagaye baithe hai.
Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswayion ka,Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jata hai,Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jata hai.
In aankhon me aasoo aaye na hote, Agar tum pichhe mudkar muskuraye na hote, Tumhare jaane ke baad ye gam hota hai, kaash tum zindagi me aayehi na hote !!!