Kabhi-na-kabhi ye dil jarur rota hai,Jab koi apna mil-kar nazaro se dur hota hai.Sab se pahele roti hai ye aankhe,Q ki dil se jyada kasoor in ka hota hai.
Kitni jaldi ye raat guzar jaati hai, pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai, apni yaado se keh do ki yu hame sataya na kare, neend aati nahi aur raat guzar jaati hai..
Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
zindagi mein kyon apni tanhayi si hai apna koi nahin aur bheedh badi hai puchhe jab koi kyon ankhe hai gamzada hanste hue kahte hai ki kirkiri padi hai
Jab bhi tum pukaroge,hum daude chale aayenge.,kafan me lipte chita se uth kechale aayenge.,agar jal gaye to koi gum nhi dost,rakh banke hum udte chaleaayenge.
Ek naqaab sa chehre pe har kisi ne laga rakha hai Aur dilon mein jhaankne ka hunar humein haasil to nahin hai Par aksar chot khaayi hai malham lagane waalon se hi Darte hain kahin aap bhi unme shaamil to nahin hai