Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain, Karti hain vo kinare se bewafai ya fir sagar se wafa nibhati hain.............?
Na koi manzil hai na kinara hai koi,Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,kabhi Zindagi ko tarse kabhi maut ko pukara..
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi