Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta, Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta, Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai, Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Dard abhi chupa hi tha k tum yad A gaye.Dil abhi dhadka hi tha k tum yad A gaye.shayed nahi thi maut hamare nasib me.bas dum nikla hi tha k tum yad A gaye.