Tootte Hue Tare Ko Dekh Kar Maine Kaha_A Dil Mang Le Tu Bhi Fariyad Koi_Par Dil Se Awaz Aai Ki Jo Khud Toot Raha Hai_Kaise Poori Karega Wo Fariyad Koi... !!!
Dard hi sahi mere ishk ka inaam to aaya khali hi sahi hathon me jaam to aaya.Main hu bewafa sabko bataya usne yu hi sahi uske labo pe mera naam to aaya
Mohabbat Ko Mohabbat Ka Ishara Yaad Raheta Hai.Har Pyaar Ko Apna Pyaar Yaad Raheta Hai.Do Pal Jo Unki Bahon Me Guzre Ho Maut Tak Wo Nazara Yaad Raheta Hai.
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya.. umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat. do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya ! apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood, Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !