Waqt guzarta raha par sanse thami si thi, muskura rahe the hum par ankho mein namisi thi, sath hamare ye Jahan tha sara,par Na jane kyun kisi ki kami si Thi
AshkoN ko humne kayi baar roka, phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi, Bharosa to tha hameiN apne aap par magar, unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.
Kabhi mautse zindgi ka sauda na kar saka Uski yaado ko dilse juda na kar saka. Use bhulne ki aarju bahut thi dilme Par kaise karu wo kaam jo khuda na kar saka.