rafta rafta unhe muddatho me bhule hai ham, kishto me khudkashi ka maza hamse puchiye, agaz e aashiqi khud janiye, anjaam e ashiqi ka maaza hamse puchiye.
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai.
Alafaz nahi hai paas mere gum-e-ulfat kaise bayan karoon Aap ne ki hai mujhse beeafayee ye jag zaahir kaise karoon Humne to aap se mohabbat karke khud hai bhula diya Tere baad haalat kaise hai meri ab ye zaahir kaise karoon
Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata.! Isliye ishq ki baazi hum haar gaye.! Meri zindagi se shayed unhe bahut pyar tha.! Isliye mujhe zinda hi maar gaye.