Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Uski aankhon may koi dukh basa hai shayad,ya muje khud he veham sa ho gaya ha shayad,maine pocha k bhul gaye ho tum bhi? ponch kar aansu mujse kaha......shayad.
Dhalne Lagi Hai Sham Tere Intizar MainYeh Subha Kaise Ho Gi Tere Intizar Main Shabnam Bhi Ro Parri Meri Bebasi Par Aaj Ashkon Se Raah Sajayi Tere Intizar Main.
karib rehne ki chah to hamaen bhi thi,par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye... marz ki dava to le lete hum bhi,par na jaane gyon jakhm nazar hi nahin aaye.