kisi se pyar soch samajhkar nahi hota,har apna lagnewala humsafar nahi hota,tanhai katon ki tarah chubhti hai to kya hua,katon ko murjhane ka darr to nahi hota
Wada to kar lete hai par nibhana bhul jate hai, laga kar aag sine main buzana bhul jate hai, bhulana jaisi adat ho gai hai _ap ki, aap hi rulate hai, our fir manana bhul jate hai.
Aaj apne aap se khafaa hoon...... jo uske chere ki madhoshiyaan na pad saka, par kya karoon uski yaad me aisa khoyaa ki uski muskurahat ke peeche ki shararat na pad saka.
Ummidon ke sahare jiye jaa rahe hain, tera naam lab pe liye jaa rahe hain. Ek tum ho ki milne ka naam nahin lete, ek hum hain ki intezaar kiye jaa rahe hain