Ishq sabhi ko jeena sikha detha hai, wafa ke naam par marna sikha deta hai,Ishq nahi kiya tho kar ke dekho,Zalim har dard ko sehna sikha deta hai.....--
Chandni raato me saara jaha sota hai.Kisiki yaado me koi badnasib rota hai.KHUDA kisi ko mohabbat pe fida na kare,agar kare toh qayamat tak juda na kare.
Pyaar ka jahaan basaya tha humne... Dil ne dokha de diya. Sapno ka aashiyaana banaya tha humne... Kisine bewafai ke pathar se tod diya. Dard aisa hua k aasmaan ro padaa... Ab Humne pyaar ka astitva hi mita diya.
Kashti bhi na badli , Dariya bhi na badla , Ham dubne walo ka jazba bhi na badla Hai Zok-e-Safar aisa ek umar se hame, Manzil bhi na pai or rasta bhi na badla
Manzile bi uski thi,Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha,Kafila bi uska tha.. Sath Sath chalne ki soch bi uski thi,Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha... Aaj kyo akela hoon,Dil sawal karta hai,Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha,.