Kuch na kisise Bolenge, Bus tanhai me Chup-chup rolenge,Apni To Musafir jaisi hai Zindagi,Sath Kisi k B Holenge,Ye Jivan hai Ek ZEHAR BHARA PYALA ,Kab tak isme 'AMRIT' gholenge, Ab Neend to Aankho me Aati nahi,Chalo Jab Mout Aayegi Tab jee Bhar ke Solenge
Kitabon mai rakh k sula gaya ham ko Ankh band ki aur bhula gaya ham ko Koi ajeeb musavar tha jo barishon k mosam main Kachi deewaron pe bana gaya ham ko.
Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki, Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume bus muskurane ki
Hum suraj nahi jo dhal jayange,Hum waqt nahi to guzar jayange,Hum mausam nahi jo badal jayange,Hum to aansu hai jo khushi aur Gum dono me nazar aayange..
Zakhm aisa diya koi dawa kaam na aayi,Aag aisi lagai ke paani se bhi na bujh paayi,Hum aaj bhi rote hai unki yaadon me,jinhe hamari yaad aaj tak na aayi.
Kitne Parvane Jale Raaz Ye Pane Ke Liye Shamma Jalne Ke Liye Hai Ya Jalane Ke Liye? Ronewale Tujhe Rone Ka Saliqa Bhi Nahi Ashq Pine Ke Liye Hai Ya Bahane Ke Liye?