Is se zyada kya rakhte hai chahat ki umeed,mita diya khud ko tumhe paane ke liye,mar kar bhi na bhool payenge hum,aankh to bandh ki hai sirf zamane ke liye.
Vada hamne kiya tha nibhane ke liye, ek dil diya tha ek dil pane ke liye, unhone mohabbat sikha di or kaha, hamne to mohabbat ki thi tumhe aazmane ke liye.
Hasi ne labon pe thirakna chod diya hain, khwabon ne palkon pe aana chod diya hain, nahi aati ab toh hichkiya bhi shayad aapne bhi yaad karna chod diya hain..
Socha yaad na karke thoda tadpaye unko,kisi ur ka naam lekar jalaye unko,par koi chot unko lagi to dard hume hoga,ab koi ye bataye k kis tarah sataye unko..