roz hota hai tarruf mera teri yAdoN se, chhalakta hai noor tera meri AnkhoN se, tadap raha hoon maiN aur ab ye Alam hai, aur intezaar nahi hota ab meri sasoN se,
Nighaon me suna pan, dil b viraan hai, mere mehboob kya yahi pyar ka inaam hai, Tumne chaha aur raat din pooja maine, Mujhpar laga ye bewafai ka Iljaam hai!...
sochta tha dard-e-dil pe koi to marham lagata, par siwa kanto ke koi mujhko kuch bhi de na pata, khwab the aankho ke khulte hi kahi wo kho gaye… Ae kash band aankho ke hi jindgi jiya jata……………
Har taraf gairahi hai,Kinaara nazar nahi aata.Vaada toh kar lete hai bahot mohabbat kar lene ke baad,Par jab musibat pade, toh koi saath nibhaane nahi aata
koi kya jaane ki hum hanste hua bhi roote hai, dil ke jajbaat ko asko mein piro lete hai, har baar dil mein ek kwavhis leker, dil hi dil mein use tod ker hans lete hai