Uss Se Juda To Hogaya Per Youn Laga Mujhe Jese Jahan Mein Koi Apna Nahi Raha WO Bewafa Nahi Magar Itna Zaror Hai Pehle Wo Jis Tarah ka Tha Wesa Nahi Raha
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Ummidon ke sahare jiye jaa rahe hain, tera naam lab pe liye jaa rahe hain. Ek tum ho ki milne ka naam nahin lete, ek hum hain ki intezaar kiye jaa rahe hain