Zindagi me Rah kaisi bhi ho Gujar jayenge, Ek din ham bhi chupke se mar jayenge, Aaj rehne do aap k dil me Yaad bankar, kal ansu ban k ankho se nikal jayenge…
Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon, Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon, mujhko maaloom hai masti ki haqeeqat lekin, Hosh jab hadh se guzarti hai to pee letaa hoon!!
Dil main har raaz daba kar rakhte hain , Hontoon per muskurahat saja kar rakhte hain, Yeh duniya sirf khushi mein saath deete hai , Iss liye hum apne aansoon ko chupa kar rakhte hain
Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi, Kaise keh du aaj fir hosh nahi. Aisa duba teri aakho ki gehrai main, Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai