Aise likhne ka bhi kya fayda jo jhuta lage, Aise rang ka bhi kya fayda jo fika lage, Shayri woh hai jo dil se nikle, aur jise sunke, Her dil mein thoda sa to dard jage....
Ek din zindgi aise mukam pe pahunch jayegi,, Dosti to sirf yaadon me reh jayegi.. Har cup chai yaad tumhari dilayegi,, aur haste haste fir aankhein nam ho jagegi
AshkoN ko humne kayi baar roka, phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi, Bharosa to tha hameiN apne aap par magar, unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.
Yeh sach hai ki. Aa jata hai shohrat ka Asar.. insaan to kiya dar-o-deewar badal jate hai.. Aur bewafa badle ya naa badle.. Waqt aane par wafadar badal jate hai.
Husn wale khub wafaon ka sila dete hain, Har mod par ek jakhm naya dete hain, Dost” is jahan mein koi apna nahi, Jab aag lagti hai to patte bhi hawa dete hain