yeh zarori nahin par asa howa karta hay jis ko chaho wahi dhoka diya karta hay qasmain khata hay woh ehad nibhanay ki or har moor pay rastay badal liya karta hay
Bhigi Barsaat me jalata hu, tuze kya maloom? Main samandar hu bikharata hu, tuze kya maloom? Jabse dekha hai mohabbat ka hasi Tajamahal, Kate haathon ko chhuppata hu, tuze kya maloom
Kitni jaldi ye raat guzar jaati hai, pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai, apni yaado se keh do ki yu hame sataya na kare, neend aati nahi aur raat guzar jaati hai..
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Fareb tha hasi me,Ashiqi samajh baithe,Mout ko hiapni jindagisamajh baithe,waqt ka mazak tha ya badnasibi hamari,unki dobato ko hum chahat samaj baithe.