tanhai mein rote hain wo, hothon pe tabassum hai to kya hua... zindagi jeete hain wo, har zahar peete hain to kya hua... aaj bhi apni parchhaiyon mein dhoondta hoon use... yaad to taaza hai hum maazi (past) hue to kya hua... :-)
Yun humko satane ki jarurat kya thi.. Dil mera jalane ki jarurat kya thi.. Jo nahi tha ishq to kah diya hota.. Dil mera tod ke jane ki jarurat kya thi.
Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai Tut ke mera bikharna to abhi baqi hai Pas akar mera dukh dard batanewale Mujhse katra ke guzarna to abhi baqi hai
Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai Is ghum ke mausam mein, mera dil ro raha hai Aur alam kuch is tarah ho raha hai Hum jaag rahe hain, sara jahaan so raha hai