tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata phir bhi dil ki baat keh nahi paata kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata
Naksh Kuch Mitte Rahe Kuch Sooratein Banti Raheen, Ranj Ki Beshi Kabhie Se Raahatein Banti Raheen, Mera Sarmaayaa Umeedon Ke Sivaa Kuch Bhi Na Thaa, Kuch To Yaadein Ban Gayeen Kuch Hasratein Banti Raheen
AB Ke Kerna To Aesi Chahat Kerna Jisko Aata Hee Na Ho Sikwa Shikayat Kerna Pehly Khusbu Ke Mizaj Ko Parak Lo Phir Gulistan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they hum, lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..
Nahin sunta koi toote hue dil ki fariyaad chod gaye aaj vo hi jisse kiya har pal dil se yaad ae mehboob tehar ja saath, aankho ki barsaat tham jane tak kya pata fir rahe na rahe hum tere aane tak