Roye hein buhat tab zara karaar mila he is jahan mein kise bhala sacha pyar mila he guzar rahi hey zindagi imtehan ke daur se ek khatam howa to dosra tayar mila he
Ummidon ke sahare jiye jaa rahe hain, tera naam lab pe liye jaa rahe hain. Ek tum ho ki milne ka naam nahin lete, ek hum hain ki intezaar kiye jaa rahe hain
Zamee pe nahi yaar, dilon pe raaj kar Har soorat-e-wafaa ka hardam riyaaz kar naa paa sakaa muhabbat iska na gham banaa jo de saka muhabbat uspe tu naaz kar..
Us sikandar ka sikwa koi kya kare,chahat nahi hume apni to uski chahat kya kare,dosh nahi lehro ka dosh nahi tufan ka, kastiya ho bewafa to manjil hi kya kare..