Jis kisiko bhi chaho woh bewafa ho jata hai.Sar agar jhukao to sanam khuda ho jata hai.Jab talak kaam ate raho humsafar kehlate raho,Kaam nikal jaane par humsafar koi doosra ho jata hai.
Kisi k pyar me gehri chot khai hai, wafa se pehle hi bewafai pai hai, log to dua mangte hain is haal me marne ki, par humne uski yadon me jine ki kasam khai hai
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Bhari Mehfil Mein Tanha Mujhe Rehna Sikha Diya, Tere Pyaar Ne Duniya Ko Jhoota Kehna Sikha Diya, Kisi Dard Ya Khushi Ka Ehsaas Nahin Hota Ab To, Sab Kuch Zindagi Mein Chup-Chap Sehna Sikha Diya.