Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
Gam ke saye mein guzara hai jeevan humne, Apni palko ko aansuo se sajaya hai humne, Apni chahat ko kabhi pa na sake hum, Khud rokar dusro ko hasaya hai humne.