Paas aakar yun hum tum dur kyon ho gaye Pal bhar mein hi khayal kyon tinko mein bikhar gaye Teri mauzudgi ka ehsaas ab tanhayee main hota hai Jab aankon se teri yaad paani bankar nikalti hai
Na hai koi khuda jinpe hum aitbaar kar sake, Na hai koi wafa jinpe hum jaan luta sake, Ye to in hasino ke aangan ke phool hain bas, Jinke kaante hi itne hai, ke koi dil hi na laga sake."
Mujhko parkhne ka nateeja kya nikla Zakhm e dil nazron se bhi gehra nikla Tod ke dekh hi liya tune aaina mere dil ka Bataa teri soorat k siva kya nikla.....