Jo gham hai mere dil mein, kaise bayaa karu dhoop bhi jab sard ho to dil ghabraata hai dikhta nahi jo jakhm, use kya dawaa karu, hamdard ko jab dard ho to dil ghabraata hai
unke paas humare liye nafrat bhi nahi mohobbat bhi nahi us shaks ko humse koi shikayat bhi nahi shayad hum ji nahi sakte unke bina aur unhe shayad humari zarurat hi nahi
Aankhon ko tanha chodkar woh jaise hi gire gaalo par, toh kuch bewafa labo ke ho gaye galo ko chodkar. Chupaakar rakha jise duniya ki nigaahon se, hamare haste hi kambakht, chalak pade inn palkon ki kataaron se…
Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain
Naa jaane kyon hume aansoo bahana nahi aatanaa jaane kyon hume haale dil sunana nahi atakyon sabhi bichad jaate hain hamesha humse shayad hume hi saath nibhana nahi aata
Ishq dariya hai jiska sahil nahi hota, Har dil mohabbat ke kabil nahi hota, Rota woh bhi hai joh duba ishq-e-sagar me, Aur rota woh bhi hai jise ishq hasil nahi hota…