Jis kisiko bhi chaho woh bewafa ho jata hai.Sar agar jhukao to sanam khuda ho jata hai.Jab talak kaam ate raho humsafar kehlate raho,Kaam nikal jaane par humsafar koi doosra ho jata hai.
Kuch adhure khwaab aankhon me saja kar so gaya Bant di khushiyan sabi me ashqon ko chupa kar so gaya Har koi meri hansi ko dekh kar hans leta hai Mai to patthar tha gamon ko bhi rula kar so gaya
Aise likhne ka bhi kya fayda jo jhuta lage, Aise rang ka bhi kya fayda jo fika lage, Shayri woh hai jo dil se nikle, aur jise sunke, Her dil mein thoda sa to dard jage....